KHwab KHush-fahmi KHushi sab kuchh miTa kar rakh diya

khwab khush-fahmi khushi sab kuchh mita kar rakh diya
us ne do hi roz mein mujh ko bhula kar rakh diya

ye karishma kam se kam insan ke bas ka nahin
kis ne phir patthar pe ye paudha uga kar rakh diya

sab ki nazron mein ye daulat aa na jae is liye
main ne tera dard ghazlon mein chhupa kar rakh diya

tark-e-mai karne hi wala tha magar ab kya karun
jam saqi ne mere hathon pe la kar rakh diya

sirf asli baat hi boli nahin kambakht ne
kul-jahan ka yun to afsana suna kar rakh diya

kya hasin kya pur-sukun sapna adhura rah gaya
aur so lene diya hota jaga kar rakh diya

ai 'akela' ho gai apni bhi ruswai bahut
hum ne us rukh se magar parda hata kar rakh diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close