banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai

banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai
ye bhi hai baja aap ne thukraya bahut hai

ulfat hai ki hai dil-lagi mujh ko nahin malum
phir chand mujhe dekh ke muskaya bahut hai

duniya mujhe suli pe chadha de to chadha de
ulfat ka sabaq main ne bhi dohraya bahut hai

ye baat baja ki hai madad shukriya sahib
ehsan magar aap ne jatlaya bahut hai

gum-sum sa kai roz se dikhta hai wo zalim
shayad mera dil tod ke pachhtaya bahut hai

khud ki bhi kabhi shakl zara dekh len sahib
aaina mujhe aap ne dikhlaya bahut hai

ab aql ka dushman jo na samjhe to na samjhe
main ne dil-e-nadan ko samjhaya bahut hai

afsos nahin qatl ka mujh ko mere qatil
gham hai yahi tu ne mujhe tadpaya bahut hai

iman o dharam tak pe dekho to 'akela'
paise ke liye aadmi paglaya bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close