khwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat phad khaen tere darban sag-e-dar ki surat aisi bigde na ilahi kisi ghar ki surat wahi diwar ki surat hai jo dar ki surat par-shikasta hun tah-e-shakh pada rahne de baghban tu mujhe tute hue par ki surat chhutta hi nahin ab arsh-e-khuda baam-e-butan dekh li hai kahin nalon ne asar ki surat ghere rahta hai bagula mujhe ab ek na ek ki hai paida mere sahra ne bhi ghar ki surat jaan jae ki rahe aap ke aate aate aur se aur hai ab dard-e-jigar ki surat pani ho jate hain aansu mere moti ban kar warna achchhi to na thi un se guhar ki surat kucha-e-zulf mein jate hue dil darta hai har qadam par hai nai khauf-o-khatar ki surat kabhi phula na phula nakhl-e-tamanna afsos phul ki shakl na dekhi na samar ki surat ghair ki qabr hai gulshan hai na daman un ka mujh se dekhi nahin jati gul-e-tar ki surat chaaragar aate hain to aankh chura jate hain aisi bigdi hai mere zakhm-e-jigar ki surat aashiyane ko chale bagh mein muddat guzri phirti hai aankh mein kyun barq-o-sharar ki surat ghar se be-fikr main sahra mein phira karta hun meri aankhon mein phira karti hai ghar ki surat qais bhatka tha ki sahra mein 'riyaz' aae nazar rahnuma us ke bane aap khizar ki surat