tum aae ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun tumhaare sath bhi kuchh dur ja kar dekh leta hun hawaen jin ki andhi khidkiyon par sar patakti hain main un kamron mein phir shamen jala kar dekh leta hun ajab kya is qarine se koi surat nikal aae teri baaton ko khwabon se mila kar dekh leta hun sahar-dam kirchiyan tute hue khwabon ki milti hain to bistar jhad kar chadar hata kar dekh leta hun bahut dil ko dukhata hai kabhi jab dard-e-mahjuri teri yaadon ki jaanib muskura kar dekh leta hun uda kar rang kuchh honton se kuchh aankhon se kuchh dil se gae lamhon ko taswiren bana kar dekh leta hun nahin ho tum bhi wo ab mujh se yaro kya chhupaoge hawa ki samt ko mitti uda kar dekh leta hun suna hai be-niyazi hi ilaj-e-na-umidi hai ye nuskha bhi koi din aazma kar dekh leta hun mohabbat mar gai 'mushtaq' lekin tum na manoge main ye afwah bhi tum ko suna kar dekh leta hun