khwab mein hath chhudati hui taqdir ka dukh aankh se lipta hai ab tak usi tabir ka dukh koshishen kar ke bahar-haal musawwir haara shokh rangon mein chhupa hi nahin taswir ka dukh us ki aankhon mein nami khatm nahin ho sakti padh liya jis ne bhi hansti hui tahrir ka dukh qaid-khane mein yahi soch ke wapas aaya mujh ko malum hai tanha padi zanjir ka dukh mahfil-e-sher-o-sukhan yunhi rahe bagh-o-bahaar nasl-dar-nasl chale mir-taqi-'mir' ka dukh hath kat jaane pe shayad nahin hota 'nadir' jo mere dil ko hai tuti hui shamshir ka dukh