khwab mein nur barasne ka saman hota hai aankh khulti hai to kamre mein dhuan hota hai dhup aisi dar-o-diwar pe thahri aa kar ghar pe aaseb ke sae ka guman hota hai khwab mein ja ke use dekh to aaun lekin ab wo aankhon ke darichon mein kahan hota hai din ko hoti hai jo logon ke guzarne ki jagah sham ke baad wahan mera makan hota hai khauf an-jaana koi pichhe pada hai aise jis jagah jata hun kam-bakht wahan hota hai yun mere aage ubhar aata hai wo shakhs 'hasan' mere andar hi kahin jaise nihan hota hai