khwab mein teri shakl samo nahin sakta main isi liye to shayad so nahin sakta main main to apne aansuon se sharminda hun teri aankh ke aansu ro nahin sakta main hadd-e-nazar tak ret hi ret hai aankhon mein ab is ret mein phul to bo nahin sakta main main bhi tere jaisa hona chahta hun lekin ab dariya to ho nahin sakta main dil par teri chup se lagne wala dagh aisa dagh hai jis ko dho nahin sakta main