juda hue to judai mein ye kamal bhi tha ki us se rabta tuta bhi tha bahaal bhi tha wo jaane wala hamein kis tarah bhulaega hamare pesh-e-nazar ek ye sawal bhi tha ye ab jo dekh rahe ho ye kuchh naya to nahin ye zindagi ka tamasha guzishta sal bhi tha ye dagh likkha tha sailab ke muqaddar mein mera makan to pahle se khasta-haal bhi tha