khwab nadim hain ki tabir dikhane se gae sae sae meri nindon ke sirhane se gae yun bhi wo dil ho ki dirham pe khula rahta hai apni ek waz-e-junun thi ki bahane se gae rakh alaw ki ye bikhri hui jangal ki ye sham kya zamane gae kya log zamane se gae koi taswir sar-e-ab uthata hai bhala ab hamein dhundhte kya ho ki uthane se gae 'shaz-ji' ishq mein aisa hi hua karta hai tum hue qais hue donon thikane se gae