shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf chire hai sina raat ko ye mu-shigaf-e-zulf jis tarah se ki kabe pe hai poshish-e-siyah is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaf-e-zulf barham hai is qadar jo mere dil se zulf-e-yar shamat-zada ne kya kiya aisa khilaf-e-zulf matlab na kufr o din se na dair o haram se kaam karta hai dil tawaf-e-izar o tawaf-e-zulf naf-e-ghazal-e-chin hai ki hai nafa-e-tatar kyunkar kahun ki hai girah-e-zulf naf-e-zulf aapas mein aaj dast-o-gareban hai roz o shab ai mehr-wash zari ka nahin mu-e-baf-e-zulf kahta hai koi jim koi lam zulf ko kahta hun main 'zafar' ki musattah hai kaf-e-zulf