khwab nahin hai sannata hai lekin hai tabir bahut sachchi baaten kam kam hain aur jhut ki hai tashhir bahut kya kya chehre hain aankhon mein shaklen kya kya zehn mein hain yaaden goya album hain aur album mein taswir bahut qissa hai bas do-pal ka ye milne aur bichhadne ka karne wale ishq ki yun to karte hain tafsir bahut hum to sahab-e-ahl-e-junun hain duniya khel-tamasha hai ahl-e-khirad ki khatir hogi duniya ki zanjir bahut sari shaklen dhundli dhundli mubham sa hai manzar bhi khwab ki kachchi buniyaadon par karni hai tamir bahut qissa ye mahdud na tha kuchh honton ki khamoshi tak kahne ko to kahti thi un aankhon ki tahrir bahut