shukr us ne kiya lab pe magar nam na aaya marna bhi mera hae mere kaam na aaya allah shab-e-hijr phir aisi na dikhae ghadiyon to mujhe yaad tera nam na aaya ye tarz-e-jafa kis sikhai thi sitam-gar sau zulm hue ek bhi ilzam na aaya but-khana to but-khana hai allah-ri qismat kaba se bhi 'mail' kabhi nakaam na aaya