khwab sharminda-e-tabir nahin ho sakta dil mukammal kabhi taskhir nahin ho sakta aaj ruthe hue sajan ne bulaya hai mujhe aaj to kuchh bhi inan-gir nahin ho sakta ho na ho ye koi apna hi khula hai mujh par mere dushman ka to ye tir nahin ho sakta bandh le dost girah mein ye mera farmaya kuchh bhi kar le tu magar 'mir' nahin ho sakta karbala ke liye makhsus hai bas ek hi shakhs dusra koi bhi 'shabbir' nahin ho sakta