khuli hai aankh haqiqat ki intiqal ke baad main zindagi tujhe samjha hun dekh-bhaal ke baad tu meri ruh mera ishq hai nidar ho ja shajar nahin hun ki badlun libas sal ke baad mere adu ke irade tamam khak hue jab aur ijz mein aaya main ishtial ke baad teri judai ke sadme ne kar diya pagal raha malal na koi tere malal ke baad tum is tarah se agar hausla badhate rahe bade kamal karunga main is kamal ke baad phir us ki aankhen nadamat ke ashk le dube dil-e-tabah se uthte hue sawal ke baad tere junun ne tujhe surkh-ru kiya 'nazish' tujhe uruj mila zabt-e-be-misal ke baad