khwab to khulte the mujh par dar koi khulta na tha aasman sab khul chuke the par koi khulta na tha samne se sare manzar saf dikhte the magar ek manzar aisa ki andar koi khulta na tha jaane kaise shahr mein apne qadam padne lage band dil ke log the khul kar koi khulta na tha gu-magu ke din the wo masjid koi chalti na thi khauf ki dewi ka dar mandir koi khulta na tha ab jidhar se bhi main guzrun dekhte hain mujh ko log mujh pe aise din bhi guzre dar koi khulta na tha dekhta rahta tha shab bhar aasmanon ki taraf dida-e-khun-bar se manzar koi khulta na tha mil hi jaana tha mujhe apne lahu ka bhi suragh bad-nasibi thi meri khanjar koi khulta na tha khwab dekha aarzu-e-shahr mein wo 'iftikhar' sab guzarte the magar mujh par koi khulta na tha