aaankhon se main ne chakh liya mausam ke zahr ko lekin wajud sah na saka us ke qahr ko phenka tha kis ne sang-e-hawas raat khwab mein phir dhundhti hai nind usi pichhle pahr ko mitti ke sab makan zamin-doz ho gae naqshe mein ab talash karo apne shahr ko dariya-e-shab ka tut gaya hai sukut aaj muddat ke baad dekh ke kirnon ki nahr ko sae ke sath waqt ke dauda wo der tak palkon mein phir chhupa liya lamhon ke qahr ko paimana-e-gulab ko honton se chum kar mutthi mein qaid kar liya khushbu ki lahr ko