khwab us ke hain jo chura le jae nind us ki hai jo uda le jae zulf us ki hai jo use chhu le baat us ki hai jo bana le jae tegh us ki hai shakh-e-gul us ki jo use khinchta hua le jae us se kahna ki kya nahin us pas phir bhi darwesh ki dua le jae zakhm ho to koi duhai de tir ho to koi utha le jae qarz ho to koi ada kar de hath ho to koi chhuda le jae lau diye ki nigah mein rakhna jaane kis samt rasta le jae dil mein aabaad hain jo sadiyon se un buton ko kahan khuda le jae kab na jaane ubal pade chashma kab ye sahra mujhe baha le jae khwab aisa ki dekhte rahiye yaad aisi ki hafiza le jae main gharib-ud-dayar mera kya mauj le jae ya hawa le jae khak hona hi jab muqaddar hai ab jahan bakht-e-na-rasa le jae