dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the jaise ab ke chadhe hue the dariya dekhne wale the aaj to sham hi se aaankhon mein nind ne kheme gad diye hum to din nikle tak tera rasta dekhne wale the ek dastak ki rim-jhim ne andeshon ke dar khol diye raat agar hum so jate to sapna dekhne wale the ek sawar ki saj-dhaj ko raston ki wahshat nigal gai warna is tyauhaar pe hum bhi mela dekhne wale the main ne jis saf ko chhoda hai us mein shamil sare log apne qad ko bhul ke apna saya dekhne wale the main pani aur aag se ek mitti ki khatir lauta tha aur ye donon aalam khel-tamasha dekhne wale the ab aaina hairat se ek ek ka munh takta hai 'salim' pahle log to aaine mein chehra dekhne wale the