khwabon ka nashsha hai na tamanna ka silsila ab rah gaya hai bas gham-e-duniya ka silsila aabaad dur dur hain viran se kuchh maqam ye bastiyan hain ya koi sahra ka silsila gardish mein jaan-o-dil hon to kyunkar mile sukun yaro nahin ye saghar-o-mina ka silsila do hi qadam chale the kisi ki talash mein phir mil saka na naqsh-e-kaf-e-pa ka silsila insan ko silsilon se milegi najat kya duniya ke baad hai abhi uqba ka silsila apne wajud se bhi gile par hua tamam itna badha shikayat-e-beja ka silsila ek shahr-e-tishna-kaam mein jite hain yun 'sahar' aata hai roz khwab mein dariya ka silsila