khwabon ke mahal tut ke gir jate hain akasr phir un se hi din apne sanwar jate hain akasr ai baad-e-saba un ko ye paigham mera de kyun chhup ke meri rah se guzar jate hain akasr duniya mein har ek shai hai faqat teri kami hai naqshe teri yaadon ke ubhar jate hain akasr wo naz uthane ke to qael hi nahin hain phir hum bhi khafa ho ke biphar jate hain akasr 'kausar' tere mai-khane mein saghar na subu hai phir kyun yahan mai-nosh thahar jate hain akasr