khwabon ke sanam-khane jab dhae gae honge us daur ke sab aazar bulwae gae honge tu bhi na bachi hogi ai aafiyat-andeshi har samt se jab patthar barsae gae honge phir us ne masail ka hal dhund liya hoga phir log masail mein uljhae gae honge hum guzre ki tum guzre ye dekhne kaun aata the jitne tamashai sab lae gae honge yaran-e-qadah se kuchh laghzish bhi hui hogi danista bhi kuchh saghar chhalkae gae honge 'afzal' ka muqaddar hai haq-goi-o-ruswai sach baat kahi hogi jhutlae gae honge