karb chehre se mah-o-sal ka dhoya jae aaj fursat se kahin baith ke roya jae phir kisi nazm ki tamhid uthai jae phir kisi jism ko lafzon mein samoya jae kuchh to ho raat ki sarhad mein utarne ki saza garm suraj ko samundar mein duboya jae baj gae raat ke do ab to wo aane se rahe aaj apna hi badan odh ke soya jae narm dhage ko masalta hai koi chutki mein sakht ho jae to moti mein piroya jae itni jaldi to badalte nahin honge chehre gard-alud hai aaine ko dhoya jae maut se khauf-zada jine se be-zar hain log is alamiye pe hansa jae ki roya jae