khwabon ki kaenat mein khone nahin diya tere khayal ne mujhe sone nahin diya gardish mein rakkha teri kashish ne mujhe sada ab tak kisi thikane ka hone nahin diya har marke se zist ke nikla hun surkh-ru bas ye ki dil mein khauf samone nahin diya zakhmon se tha nidhaal magar mauj-e-waqt ko chahat ka naqsh sine se dhone nahin diya ek hadse ki yaad ne dil ki zamin mein khwahish ka tukhm phir kabhi bone nahin diya 'kashif' kamal-e-zabt ne rakkha mera bharam zalim ke samne mujhe rone nahin diya