khwabon ki rahguzar se khayalon ki rah se tujh tak pahunch raha hun ujalon ki rah se main jaanta hun rasta ghazlon ke shahr ka aaya hun chal ke zohra-jamalon ki rah se main rafta rafta karb ki manzil tak aa gaya dil ka qarar dhundne walon ki rah se be-shakl kaifiyat ke hain chehre juda juda kuchh baat ban rahi hai misalon ki rah se afsanon ki bayaz mein afsana hi to hai kuchh mera tazkira bhi hawalon ki rah se pahuncha hun us ke dard ki gahrai tak 'shakil' uljhe hue se chand sawalon ki rah se