qusur ishq mein zahir hai sab hamara tha teri nigah ne dil ko magar pukara tha wo din bhi kya the ki har baat mein ishaara tha dilon ka raaz nigahon se aashkara tha hawa-e-shauq ne rang-e-haya nikhaara tha chaman chaman lab-o-rukhsar ka nazara tha fareb kha ke teri shokhiyon se kya puchhen hayat o marg mein kis ki taraf ishaara tha sujud-e-husn ki tamkin pe bar tha warna jabin-e-shauq ko ye nang bhi gawara tha chaman mein aag na lagti to aur kya hota ki phul phul ke daman mein ek sharara tha tabahiyon ka to dil ki gila nahin lekin kisi gharib ka ye aakhiri sahaara tha bahut latif the nazzare husn-e-barham ke magar nigah uthane ka kis ko yara tha ye kahiye zauq-e-junun kaam aa gaya 'taban' nahin to rasm-o-rah-e-agahi ne mara tha