khwah patthar khwah shisha aadmi reza reza ho ke bikhra aadmi lamha lamha dhup se tap kar hua dasht-e-ghurbat mein sunahra aadmi ek nai takhliq ka suraj liye fikr ke zine se utra aadmi zindagi ke aaine mein roz-o-shab dekhta hai apna chehra aadmi bhar ke aankhon mein sulagti aarzu barf ki wadi se guzra aadmi umr bhar karta nahin fash apna raaz kis qadar hota hai gahra aadmi saat aisi bhi kabhi aati hai 'naz' khud bhi ban jata hai bahra aadmi