lutf pahchan ka bhi to lo ajnabi hum se mil mil ke yun na bano ajnabi ajnabi-pan hai shewa mere shahr ka aae ho jo yahan ban raho ajnabi bhid hi se mukhatab ho tum der se khud se bhi to kabhi kuchh kaho ajnabi sah na paoge majlis ki tanhaiyan is se behtar hai tanha raho ajnabi tutna hi hababon ki taqdir hai in marasim ko itna na ro ajnabi hum shanasaiyon ke bharam mein jiye khul na paya ki aakhir hain do ajnabi zindagi hai ki basti kisi ghair ki tum shanasa sahi phir bhi ho ajnabi