khwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye main musafir hun mujhe rakht-e-safar bhi chahiye is qadar bhi ranj ka khugar nahin hun main abhi raste mein dhup ho to ek shajar bhi chahiye yun mukammal ho nahin sakta koi bhi aks ho aaina bhi chahiye zauq-e-nazar bhi chahiye sirf sanson ka tasalsul hi nahin hai zindagi apne hone ki hamein koi khabar bhi chahiye doston ki is ada par ho gaya qurban main meri pagdi le chuke ab mera sar bhi chahiye mutmain sahra mein aa ke bhi nahin tanhaiyan sham hote hi inhen diwar-o-dar bhi chahiye