safar ka rukh badal kar dekhta hun kuchh apni samt chal kar dekhta hun muqaddar phul hain ya thokaren phir kisi patthar mein dhal kar dekhta hun mujhe deti hai kya kya nam duniya tere kuche mein chal kar dekhta hun tapish bebakiyon ki kam ho shayad lahu suraj pe mal kar dekhta hun bharosa to nahin wade pe tere magar phir bhi bahal kar dekhta hun ye wo hain ya ki mera wahima hai unhen phir aankhen mal kar dekhta hun