khwahish-e-takht na ab dirham-o-dinar ki gunj wadi-e-chashm mein hai hasrat-e-didar ki gunj zakhm-dar-zakhm sukhan aur bhi hota hai wasia ashk-dar-ashk ubharti hai qalamkar ki gunj kash meri bhi samaat ko thikana de de dasht-e-mahshar mein tere saya-e-diwar ki gunj aahaten bhi nahin karte mere aamal kabhi ek aawaz nihan hai mere kirdar ki gunj jab bahut ghaur kiya hai to sunai di hai muflis-e-shahr ki chup mein kisi zardar ki gunj jis ne sukhi hui miti se banae kuze shahr-e-zamzam se uthi hai usi fankar ki gunj ek muddat se bhatakti hui phirti hai 'salim' kucha-e-dil mein mohabbat ke talab-gar ki gunj