ghumbad-e-zat mein ab koi sada dun to chalun

ghumbad-e-zat mein ab koi sada dun to chalun
apne soe hue sathi ko jaga lun to chalun
phir bikhar jaunga main rah mein zarron ki tarah
koi paiman-e-wafa khud se main bandhun to chalun
jaane tu kaun hai kis samt bulata hai mujhe
teri aawaz ki parchhain ko chhu lun to chalun
bujh na jaen tere jalwon ke muqaddas fanus
apne bhige hue daman ko nichodun to chalun
kitna gambhir hai kohram sukut-e-shab ka
koi aawaz ka paikar kahin dekhun to chalun
dosh-e-tufan se koi mauj bulati hai mujhe
reza reza hai badan ab use chun lun to chalun
kitni sadiyon ki masafat abhi baqi hai 'rashid'
hanpte jism ka ye khol utarun to chalun