khwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai yani mujhe khud meri talab dhund rahi hai dil rakhte hain aaina-e-dil dhund rahe hain ye us ki talab hai ki wahi khud-talbi hai taswir mein aankhen hain ki aankhon mein hai taswir ojhal ho nigahon se to bas dil pe bani hai din bhar to phire shahr mein hum khak udate ab raat hui chand sitaron se thani hai hain us ki tarah sard ye bijli ke sutun bhi raushan hain magar aag kahan dil mein lagi hai phir zehn ki galiyon mein sada gunji hai koi phir soch rahe hain kahin aawaz suni hai phir ruh ke kaghaz pe khinchi hai koi taswir hai wahm ki ye shakl kahin dekhi hui hai katrae to hum lakh rah-e-wahshat-e-dil se kanon mein salasil ki sada gunj rahi hai baqar' mujhe fursat nahin shorida-sari ki kandhon pe mere sar hai ki ek dard-sari hai