KHwahishon ka KHun aankhon ki nami mein DhunDhiye

khwahishon ka khun aankhon ki nami mein dhundhiye
dastan-e-gham hamari khamushi mein dhundhiye

haal yun hasb-e-riwayat puchhne se peshtar
dil ke tukdon ki khanak phiki hansi mein dhundhiye

muskurana to nahin aasan gham ko jhel kar
chand ke dil ki jalan ko chandni mein dhundhiye

dab gaya jab wo marasim khak ho kar khak mein
us ki garmi ko bhala kyon khak hi mein dhundhiye

aap ki zarra-nawazi dad ka hai shukriya
par kabhi to huk dil ki shaeri mein dhundhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close