go uski talKH-mizaji ka kuchh hisab nahin

go us ki talkh-mizaji ka kuchh hisab nahin
wo bad-zaban hai magar aadmi kharab nahin

sulagte honton ki adna si ek guzarish par
ada-o-naz se bole nahin janab nahin

pukarte jo mujhe pyar se to aa jate
haya ka aankh pe pahra tha koi hijab nahin

main intikhab tera kya hua mohabbat mein
zamana kahta hai mera koi jawab nahin

zara nigah to dalen huzur saghar par
ki log kahte hain sharbat hai ye sharab nahin

tere hi nam se ruswa hun main zamane mein
magar ye lagta hai is se bada khitab nahin

raqam hai yaad-e-guzishta to mukhtasar dil par
padho to lagta hai dil se badi kitab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close