KHwahishon ki baadshahi kuchh nahin

khwahishon ki baadshahi kuchh nahin
dil mein shauq-e-kaj-kulahi kuchh nahin

kyun adalat ko shawahid chahiyen
kya ye zakhmon ki gawahi kuchh nahin

subh likkhi hai agar taqdir mein
raat ki phir ye siyahi kuchh nahin

soch apni zat tak mahdud hai
zehn ki kya ye tabahi kuchh nahin

zarf shamil hai hamare khun mein
ye tumhaari kam-nigahi kuchh nahin

hans ke milta hai umuman wo 'azim'
is tarah jaise hua hi kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close