kisi bhi shai pe aa jaane mein kitni der lagti hai magar phir dil ko suljhane mein kitni der lagti hai zara sa waqt lagta hai kahin se uth ke jaane mein magar phir laut kar aane mein kitni der lagti hai bala ka rup ye tewar sarapa dhaar hire ki kisi ke jaan se jaane mein kitni der lagti hai faqat aankhon ki jumbish se bayan hota hai afsana kisi ko haal batlane mein kitni der lagti hai sabhi se ub kar yun to chale aae ho khalwat mein magar khud se bhi uktane mein kitni der lagti hai shuur-e-mai-kada is ki ijazat hi nahin deta wagarna jam chhalkane mein kitni der lagti hai ye shishe ka badan le kar nikal to aae ho lekin kisi patthar se takrane mein kitni der lagti hai