khwahishon ki maut ka yaro bhala chaha karo phailti tarikiyon mein chand ka charcha karo be-mahaba jam hi jaen dard ki jab mahfilen apne gham ko shahr-e-bakht-e-na-rasa samjha karo lahlahati wadiyon se khub-tar hain reg-zar dil ke sahra mein gulistan ki faza paida karo ranj ki gahraiyon ki tah ko pane ke liye doston ki dushmani ko bhi ata jaana karo aaqibat ki fikr na-danon ka hissa hi sahi aaqibat ke tazkire par barmala roya karo talkh-tar ho zindagi to lutf de shayad siwa na-shanasaon ki khatir aashna dhunda karo kya se kya shaklen dikhata hai fareb-e-agahi dasht-e-imkan se koi zarra utha laya karo azmat-e-insan ke dukh mein ghul raha hai ahd-e-nau is masiha ke liye mil kar dua manga karo kharch uthta hi nahin aur rang lata hai ghazab be-gunah ke khun se bhi qashqa zara khincha karo khak udti hai ki raushan husn ka aanchal hua chehra-e-giti ba-sad-bim-o-raja dekha karo