jaen ghud-daud par ki khelen tash 'mir'-ji raaz-e-ishq hoga fash pattharon mein laga rahe hain jonk chand mein khun-e-garm ki hai talash yun jhagadte hain jhuti qadron par zan-e-fahish pe jis tarah aubash nae andaz se hanut hui ab na bu degi zindagi ki lash ud gaya bhap ban ke dil ka lahu ab zamin dur hai qarib aakash hue mafluj wo bhi jin ke liye ek aalam tha bar-sar-e-parkhash lala-e-koh ko dimagh nahin nashsha lati hai mukhtalif khashkhash kaise bhukon marenge itne log be-huda ahd-e-nau mein fikr-e-qimash haf-iqlim ke khazanon par hath dalenge an-ginat qallash ab na aaya hisar se bahar naqsh mein khud hi dhal gaya naqqash rashk-e-gul hon ki misl-e-nashtar hon yahi nakhun 'nazar' mein zakhm-tarash