khyal-e-bad se hama-waqt ijtinab karo faza-e-shahr ko danista mat kharab karo jahan mein aae ho do din ki zindagi le kar har ek mahaz pe tum us ko kaamyab karo tamam shahr hai duba hua andhere mein tum apne chand se chehre ko be-naqab karo idhar khulus udhar bughz aur nafrat hai aziz kya hai tumhein is ka intikhab karo jo tum ne mujh ko diya aur main ne tum ko diya tum us ka baith ke chaupal mein hisab karo hijab azmat-e-insaiyat ka zamin hai raho kahin bhi pa pabandi-e-hijab karo agar watan se mohabbat hai tum ko ai 'ibrat' to paida azm se tum sabz inqalab karo