koi na harf-e-nawed-o-KHabar kaha usne

koi na harf-e-nawed-o-khabar kaha us ne
wahi fasana-e-ashufta-tar kaha us ne

shirakat-e-khas-o-shola hai karobar-e-junun
ziyan-kade mein kis anjam par kaha us ne

use bhi naz-e-ghalat-karda-e-taghaful tha
ki khwab o khema-faroshi ko ghar kaha us ne

tamam log jise aasman kahte hain
agar kaha to use baal o par kaha us ne

use ajab tha ghurur-e-shaguft-e-rukhsari
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kaha us ne

ye gul hain aur ye sitare hain aur ye main hun
bas ek din mujhe talim kar kaha us ne

meri misal thi saffaki-e-tamanna mein
supurdagi mein mujhe qatl kar kaha us ne

main aaftab-e-qayamat tha so tulu hua
hazar matla-e-na-saz-tar kaha us ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close