ki jae chhup ke aisi yahan ghaebana baat

ki jae chhup ke aisi yahan ghaebana baat
sarhad ke par pahunche na ye kafirana baat

mahfil yahan saji hai magar tu nahin yahan
teri bhi kash hoti koi moajizana baat

us ko koi shaghaf hi kahan shairi se hai
mahfil mein kaise karte rahe shairana baat

dekho to ek aam sa kam-fahm sa wo hai
dohra raha hai aaj bhi us ki zamana baat

hasil to kuchh na hoga tumhein mar-pit se
karte hain sare mil ke koi dostana baat

aksar main tujh se baat yahi kahta hun 'sahar'
ghusse ko chhod kar koi ab aajizana baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close