ki khud insan dhalta ja raha hai khalandara sa koi bachcha hai dariya samundar tak uchhalta ja raha hai na kuchh kahta na kuchh sunta hai koi faqat pahlu badalta ja raha hai idhar milti nahin sanson se sansen zamana hai ki chalta ja raha hai nahin us ko khilaunon ki zarurat wo ab khud hi bahalta ja raha hai makanon mein nae rauzan bana lo hawa ka rukh badalta ja raha hai 'najib' ab to sharar-e-be-hisi se tera chehra pighalta ja raha hai