kisi ke khwab se baqi na bedari se qaem hai jahan-e-dard bas meri ada-kari se qaem hai zaban se kuchh nahin kahte so dil ko haul aata hai ki ye shahr-e-hawas kis ki dil-azari se qaem hai jahan mein be-hunar logon ko koi kaise samjhae ki ye duniya abhi tak kar-e-be-kari se qaem hai khizan ke git to hum log kab se gate aae hain fana ka khauf phir kis ki jahan-dari se qaem hai rukh-e-mahtab se kuchh bhi ayan hota rahe lekin ye karobar-e-duniya sirf ayyari se qaem hai