ki talab ek shah ne kuchh pand az-hakim-e-nukta-dan us ne sun ke yun kaha ai sahib-e-iqbaal-o-shan yaad rakh aur pas rakh aur sakht rakh aur jama kar kha chhupa, kat aur utha, de le, ba-khubi har zaman us ne is mujmal ke tafsilat jab puchhe to phir lutf se us nukta-ras ne yun kiya is ka bayan yaad rakh har dam khuda ko pas rakh husn-e-wafa sakht rakh din ko mudam aur jama kar ilm ai jawan kha ghazab-ghussa chhupa aib-e-rafiq-o-ashna kat rabt-e-ham-nashin-e-bad ki hai is mein ziyan aur utha har dam zaif-o-na-tawan se zulm-o-jaur dad mazlumon ki de aur le bahisht-e-jawedan nasr mein mujh ko 'nazir' aae the ye nukte nazar main ne nazm in ko kiya to dil ho har dam shadman