zindagi ke gham lakhon aur chashm-e-nam tanha hasraton ki mayyat par ro rahe hain hum tanha mil saka na koi bhi ham-safar zamane mein katte rahe barson jada-e-alam tanha khel to nahin yaro raste ki tanhai koi hum ko dikhlae chal ke do-qadam tanha dil ko chhedti hogi yaad-e-raftagan akasr lakh ji ko bahlaen shaikh-e-mohtaram tanha masjiden tarasti hain us taraf azanon ko is taraf shiwalon mein rah gae sanam tanha is bhari khudai mein wo bhi aaj akele hain khalwaton mein rah kar bhi jo rahe the kam tanha thi 'qatil' chahat mein un ki bhi raza shamil phir bhi hum hi thahre hain morid-e-sitam tanha