kidhar hai aaj ilahi wo shokh chhal-baliya ki jis ke gham se mera dil hua hai bawaliya tamam goron ke hairat se rang ud jate jo ghar se aaj nikalta wo mera sanwaliya tujhe khabar nahin bulbul ke bagh se gulchin badi si phulon ki ek bhar ke le gaya daliya 'nazir' yar ki hum ne jo kal ziyafat ki pakaya qarz manga kar polaw aur quliya so yar aap na aaya raqib ko bheja hazar haif hum aise nasib ke baliya idhar to qarz hua aur udhar na aaya yar pakai khir thi qismat se ho gaya daliya