teri nigah-e-talattuf ne faiz aam kiya khirad ke shahr ke sab wahshiyon kun ram kiya agarche tir-e-palak ne kiya tha dil barma wale nigah ke khanjar ne khub kaam kiya tere salam ke dhaj dekh kar mere dil ne shitab aa ki mujhe rukhsati salam kiya na jaanun ishq ki bijli kidhar sin aai hai ki mujh jigar ke khule kun jala tamam kiya usi ke hath mein hai khatam-e-sulaimani nagin-e-dil pe jo naqsh us sanam ka nam kiya mujhe nigah-e-taghaful raqib par altaf ada-e-maslahat-amez ne ghulam kiya ai aaftab teri zulmat-e-judai mein 'siraj' aah-e-sahar kun charagh-e-sham kiya