kidhar rawan hai mera karwan nahin malum nasib le ke chala hai kahan nahin malum hamara khirman-e-dil bhi to jal chuka yarab giregi ab kahan barq-e-tapan nahin malum bas ek nigah-e-mohabbat se un ko dekha tha hain mujh se kis liye wo bad-guman nahin malum bane hain aaj wahi muntazim gulistan ke ki jin ko farq-e-bahaar-o-khizan nahin malum adu thi barq na dushman tha baghban apna jalaya kis ne mera aashiyan nahin malum bahaar mujh se hai main pasban-e-gulshan hun mera maqam tujhe baghban nahin malum dil-e-'umid' bhi tha jis ke sath sath rawan kahan pe lut gaya wo karwan nahin malum