kinare dariya ki wusat ka dhyan hote hain ziyaada pyar se hum bad-guman hote hain hamein bataya gaya tha ki wo hi manzil hain hum aise log ki jo be-nishan hote hain ye pyar ruh ka saya dikhana jaanta hai jo lafz hote nahin wo bayan hote hain ye hum jo kahte hain tum ho to sab hamara hai zaruraten nahin hotin ye man hote hain mohabbaton mein zabanen nahin khula kartin jo pyar karte hain wo be-zaban hote hain