har chand ki lae the jigar chir ke moti arzan hi rahe nala-e-shab-gir ke moti ek man ne bilakte hue bachchon ke liye shab beche kisi bazar mein tauqir ke moti har rang jamate hain yaqin-tab badan ka in khwab se honton pe asatir ke moti dahliz-e-mohabbat se samete hain hamesha tare kisi shirin ke kisi hir ke moti khamoshi kahegi khalish-e-jaan ka fasana palkon se chune jaenge tasir ke moti zulmat-kada-e-fikr mein taban hain azal se ghaalib ke kahin 'mir'-taqi-'mir' ke moti kafi se ziyaada hai ye tawan junun ka hain kasa-e-zanu mein jo zanjir ke moti ho jaenge mujh aise siyahkar ki khatir bakhshish ka wasila gham-e-shabbir ke moti